Innocently Yours

Kaisa pass aur kitna door ,
Sub such mein bahana hai
Thora thora sabko nibhana hai.

Kya sab paya kya kuch khoya
Kyon yaad karun
Mujh se jisko jo thour mile
Wo baat karun
Samay se larne ki nishphal koshish
Karte jaana hai
Thora thora sabko nibhana hai.

Kya bolun kya maun sametun
Kuch khabar nahi
Athak safar ko kaise baatun
Ab sabar nahi
Umra se lambi in sarkon par phirbhi
Karvan chalana hai
Thora thora sabko nibhana hai.

Published by J M Negi

No experience only flair

Leave a Reply

%d bloggers like this: